Aaj ke samay mein har koi online kharidaari karne mai ruchi dikhate hai aur yeh aasaan bhi hai, koi bhi shaman aap aasani se gar baithe mangava sakten hai, aap ko aaj ke samay mein bhid bhare bazar mein line mai lagne ki jarurat nahi padti hai or isse samay ki bhi bachat hoti hai.
Is takniki yug mein log online sopping or business ki taraf dhyan de rahe hain or in me ve apni ruchi dikha rahe hain. Inki badti ruchi ne naye-naye Drop-shippers ko bhi badhaava diya hai jo online drop-shipping ka business karke accha online paisa bana rahe hain.
Drop-shipping Kya hai?
Drop Shipping Business Model Explain |
Isme vikreta ko kisi vastu ya utpad ka prabandhan ya rakh-rakharkhaav karne ki aavashyakta nahin hoti hai. Drop-shipping ki is prakriya me vikreta grahakon se order leta hai aur nirmaan karta ko soochit karta hai or nirmaan karta grahakon ko vastu vitrit karta hai.
Online drop-shipping business ki prakriya
Online drop-shipping business ki prakriya ko 5 mukhya binduon se samjha ja sakta hai-
1. Apne utpaadon ki soochi tayyar karna
Online drop-shipping business karne ke liye sabse pahle apne utpadon ki ek soochi tayyar karen jinko aap bechna chahte ho.
2. Online store banana
Utpadon ki tayyar ki gai soochi ke liye aapko ek online store banana hoga or usmen is soochi ko jodna hai. Iske bad in utpadon ka aayaat kiya ja sakta hai or in par aap apne margin ke hisaab se inki kimat set kar sakten hai.
3. Grahakon ke order lena
Aapka online drop-shipping store set hone par jab bhi kisi grahak ko koi vastu chahiye hogi tab ve aapke store par visit karega aur apni pasandida vastu ko khareedega.
4. Nirmaan karta ko soochit karna
Apne store par aaye hue grahakon ke order ke anusaar aapko nirmaan karta ko suchit karna hota hai or kharidaar ki or se aapko bhugtan karna hota hai.
5. Nirmaan karta ke dwaara vitaran ya delivery karvana
Nirmaan karta ab us vastu ko grahakon tak deliver Karwata hai or tracking number ko soochit karta hai. Is parkar ve vastu grahakon ke order ke mutabiq nishchit samay par pahunch jati hai.
Online drop-shipping business kaise start Karen?
Abhi ke samay mein online drop-shipping ka business fhal-fhul raha hai or din be din nai-nai e-commerce companies online listed ho rahi hai.
Drop-shipping ka business kaisey kiya jae iska jawaab dena abhi ke samay koi muskil kaam nahin hai ye bahut saral aur aasaan hai.
Iske liye nivesh ki zarurat hoti hai lekin kisi parkar ki jagah ki aavashyakta nahin hoti hai. Isko aap Internet ke madhyam se kai se bhi kar sakte ho.
Online drop-shipping business start karne ke liye kuchh steps-
Drop Shipping Explain |
1. Online store setup karna
Drop-shipping business start karne ke liye aap kisi bhi e-commerce website ke sath start kar sakten hai. Internet par kai online store templets aapko mil jayenge or sath hi apne store ke vigyapan ke liye domain name registration Karen.
2. Products ko add karna
Apne store par vahin utpadon ko suchit kare jo abhii ke samay mein trending mai chal rahe ho.
Trend ka pataa lagane ke liye aap market place ya google trends ka use kar sakten ho. Isme aapko utpaadon ke rakharkhaav ka koi janjat nahin hai.
3. Nirmaata
Isme Nirmaata ka chayan karna thoda kathin hota hai kyunki nirmaata par hi utpadon ki quality nirbhar karti hai agar nirmaata accha hai aur vah apne products ki quality acchi pardhaan karta hai to grahak aapse jude rahenge aur agar nirmaata apne utpadon ki acchi quality pardhaan nahin karta hai to grahak wapas aapka store visit nahi karega aur aap ki rating kam hoti jayegi.
Nirmaata ke baare mein yah janakari jarur jutaaye ki vah samay par mall ko deliver karta hai ya nahin kyunki partispardha ke samay mein graahak bhi yah sunishchit karta hai ki kon samay par vastu ko deliver kar pane me saksham hai. Is liye ek acche nirmaata ka hi chayan karna chahiye.
4. GSTIN prapt karna
Nirmaata nishchit rup se aap se GSTIN ( vastu or seva kar) ke baare mein charcha karta hai.
Agar nirmaata ko anivaarya rup se iski aavashyakta hai to aapko GSTIN prapt karna chahiye.
5. Website banana
Online drop-shipping business ke liye ek acchi degine wali website developed karna jaruri hota hai taaki grahakon ka dhyan akarshit kar sake or une yah pataa chal sake ki aap gunavatta or trending utpad baichte hai or sath hi vishvas or pramanikta bhi sthaapit karte hai. Iske alava yeh sunishchit kar le ki aapke dwaara sabhi parkar ke bhugtaan sveekaar kiye jate hai ya nahin. Sabhi parkar ki bhugtaan pranali ko jode.
6. Online store me utpadon ko add karein
Ab apne online store mai selected utpadon ko jodna hai. Yeh utpad trends ke anusar hone chahiye kyonki log abhi chal rahe trends ko target karke hi utpadon ko khareedte hain. Iske alava aapko un utpadon ki ek uchit kimat bhi nirdharit karni hoti hai.
Online store par utpadon ki kimat margin grahakon ke anukul set hona chahiye. Apne store par utpad ke baare mein janakari grahakon ko aasani se mil sake is parkar vaivastit honi chahiye.
7. Online drop-shipping business ko badhana
Online drop-shipping business store ke puri tarah setup ho jane ke bad ab baari aati hai apne business ke prachar karne ki or jyada se jyada logon tak apne online store or apne utpadon ko pahunchane ki-
- Apne online store ki branding karna jaise uska logo or colour tons grahakon ko apni or aakarshit karne wali honi chahiye.
- Online store ka SEO karke Google par search yogya banana jisse aapke online store ve iske products ki pahunch jyada se jyada logon tak ho sake.
- E-mail ke dwara apne utpadon ki marketing karen aur logon tak pahunchaye.
- Social media dwara apne utpadon ke video or images ke madhyam se vigyapan prastut karne chahiye.
- Inke alava aap ad companies ko paise dekar bhi apne utpadon ka vigyapan chalwa sakte hain.
8. Online store par orders prapt karna
Ab aap grahakon se order prapt karte hai or grahak aapke dwaara nirdhaarit bhugtan pranali ke madhyam se aapko bhugtan karta hai.
9. Nirmaata ko suchit karna
Iske bad prapt order ko pura karne ke liye aap nirmaata ko suchit karte hai is par nirmaata aapse us vastu ka bhugtan karne ko kahega or order ki gai vastu ko deliver kar us order ke tracking number aapko dega.
10. Order ko pura karna
Ab order pura ho chuka hai or aap grahak ko dhanywad gift dete hai. Lekin agar order ki gai vastu me koi kami payi gayi ya grahak ko pasand nahin aane par use badlane ke ya refund se sambandhit koi grahak ko pareshani ho to uska aap samadhan samay par karen jisse vah grahak lambe samay tak aapke sath juda rahega.
Online drop-shipping business ke fayde or nuksan
Fayde-
1. Online drop-shipping business me online store banana bahut aasaan hai or utpadon ke liye kisi bhi bhoutik sthan ki aavashyakta nahin hoti hai or inke rakha-rakhav ka koi janjat nahi hota hai.
2. Isme kisi bhi prakar ki inventory prabandhan or store ki lagat nahi hoti hai. Inventory ke prabandhan or store karne ka kam nirmaaton ke dwaara kiya jata hai.
3. Online drop-shipping business ek sthan tak hi simit nahin he balki aap duniya bhar ke utpadon ko apne online store mai jod sakten ho.
4. Online drop-shipping business ko aap duniya ke kisi bhi kone se baith kar oparet kar sakte ho.
5. Aasaani se aap apne online store mai utpadon ko htaa ya jod sakte ho. Jo utpad trending mai chal raha hai use bina kisi shulk ke apne store mai add kar sakte ho.
Nuksan-
1. Grahak seva ya bechne ke bad ki seva muskil ho jati hai kyunki grahak ko agar us vastu ke baare mein adhik janakari chahiye to ho sakta hai ki aap ko bhi us vastu ke baare mai jyada janakari na ho.
2. Online drop-shipping business me utpad ki quality nirmaata par nirbhar karti hai us par drop shipper ka koi niyantran nahin hota hai.
3. Drop-shipping business me delivery ki lagat grahak ke sthan se nirmaata ki location par nirbhar karta hai jo nishchit nahi hoti hai aur isme drop shipper or grahak ke bich matbhed hone ki sambhawna rahti hain.
Nishkarsh ( Conclusion )
Online drop-shipping business me ye jaruri nahi hota hai ki pahle hi utpad se aap ko order milna start ho kai baar ghatiya products ke chalte order nahin mil pate hai lekin iske liye aapko udas hone ki aavashyakta nahin hai.
Aap ko market ki ranniti ko samjhana hoga aur jo vastuyen ya utpad trending mai chal rahe hain un par aapko kaam karne ki aavashyakta hoti hai. Online drop-shipping business karke aap duniya mein kai se bhi online paise kamane mai saksham hai. Iske liye aapko kai bandhakon ki tarah kaam karne ki aavashyakta nahin hoti hai.
Online drop-shipping ke liye aapko ek acche Internet ki or thode se takniki shiksha ki aavashyakta hoti hai jiske sath aap aasani se drop-shipping mai safalataa hansil kar sakte hai.
0 टिप्पणियाँ