7 Best Offline Business Ideas | ऑफलाइन बिजनेस आइडियाज हिंदी में

    Doston is post main aaj me 7 aise ideas bataane ja rahaa hun jinka istemaal karke aap offline apane business suru kar sakten hain or ve bhi kam investment ke sath. Agar aapako jaanana he ki offline business kaise karen to is post ko pura jarur pade.

    Jaisa ki aapako pataa hoga ki abhi ke time par har koi kai na kai ye jarur sochta hai ki ve bhee koi aisa business kare jisse wah finencialy free ho sake or apane pariwar ki jarurton ko acche se pura kar sake. agar aap finencialy free hona chahate hain to aap ko koi na koi aapna business karna padega.


    7 Best Offline Business Ideas
    Offline Business Ideas

    Sabse acche kam investment ke sath kiye jane wale business ideas ki soochi:-

    1. Computer Center
    2. Cyber Cafe
    3. T-Shirt Printing
    4. Paintings
    5. Clothes Store
    6. Fancy Store
    7. Book Store/Depo
    Vishtar se:-

    1. Computer Center:-

    Friends jaisa ki aapko pataa hoga ki aaj ke time me computer ke gyan ki kitni aavshyekataa hoti hain. Aaj har filed me computer ki jarurat hoti hai or isko oprate karne ke liye ek oprator ki bhee jarurat hoti hai. Is aavshyektaa ko dekhte huve computer centers ki mang badi hain.

    Aaj lagbhag companies ke kaam me computer ka istemaal kiya jataa he. Is mang ko dekhte huve agar aap ek computer center open karte ho to ye business growth hone ke bahut chancess hain. Isme aap kam investment kar or fhir jaise-jaise aapke business ki growth hoti hain aap isme or paise lagaa kar ise badaa kar sakten hain.

    Iske liye aapko computer me kuch degree-diplomas ki aavshyektaa hoti hain jaise BCA,BBA,MCA,PGDCA etc. Abhee ke time me har govt. job ke liye computer me RSCIT ko anivarya kar diya gayaa hain or bhee bahut se aise courses he jinki jarurat aapko companies me job pane ke liye aavshyak hoti hain or iski jarurat ko dekhte huve aap ek computer center open kar sakten hain.

    2. Cyber Cafe:-

    Cyber cafe ek aisi jagah hoti hain jahan logo ko computers se sambandhit sevaye upalabdha hoti hain. Agar aap ek parsonal computer nahi le sakten hain to aap computer se sambandhit kaam ko aap cyber cafe me jakar pura kar sakten hain.

    Cyber cafe ki aavshyekataa aaj badi hain kyunki kabhi ne kabhi kisi ne kisi ko computer ki aavsayekataa jarur hoti hain. Isko dekhte huve aap ek cyber cafe open kar sakten hain or apani service ke badle aap charge kar sakten hain.

    Digital time main aaj computer se sharaa kaam hota hain web surfing se lekar designing tak share kaam computer se hote hain or ye bhee dekha gayaa hain ki ek acche computer ko har koi afford nahi kar sakta hain or ve cyber cafe ka use karten hain.

    3. T-Shirt Printing:-

    Doston T-Shirt printing ko aap ek kam investment ke sath suru kar sakten hai. T-Shirt printing ka business start karne ke liye aap ko printing machines or equipment ki aavshyekataa hoti hain.

    T-Shirt printing aaj ke time mai bahut parchlan main hain. Har koi simple t-shirt khareedta hain or uske upar apani man pasand Name,Logo,celebrity ki photo,brand logos,cartoons aadi print karwaten hain.


    Offline bussiness ideas
    Offline business ideas

    4. Paintings:- 

    Paintings ka kaam suru karne ke liye aap ko painting karna aana chahiye iske liye aapko painting shikhane ki jarurat hoti hain. 

    Painting suru karne ke liye aapko jyada investment ki aavshyekataa nahi hoti hai. Iske liye paint or uske kuch equipment hi hote hain jinki kimat jyada nahi hoti hain.

    Painting ka karye aap kai or employee rakh kar bhee kar sakten hai. Isse aap bade level par kaam kar sakten hai. Painting ke ander wall paintings, marble paintings, handicrafts items painting, mitti ke bartanon par painting karna aadi karye isme shamil hain.

    5. Clothes Store:-

    Clothes store open karne ke liye aapko thode investment ki aavshyekataa hogi. Iske liye aapko ek acchi location ki aavshyekataa hogi kyunki clothes store wahan open kiye jate hain jahan logo ki sankhya adhik ho.

    Clothes store me aap kids wear, jeans, T-Shirts, shirts aadi sell karke accha paisa kamaa sakten hai. Aaj ke samye me logon ko sopping karne me bahut ruchi hoti hain naye yug me  monthly or kabhi-kabhi to weekly sopping ka bhee parchalan hain. Is time clothes store open karne ke liye ek positive vibes hain.

    6. Fancy Store:-

    Fancy store aaj ke time me sabse jyada chalne wala business hain kyunki is yug main har kisi ko stylise dikhna hain. Aaj ke time me youngest generation ko stylise or good looking dikhne ki hod lagi hui hain.

    Fancy store aap cchoti ya badi city me open kar sakten hai. Iski suruaat aap kam paise or cchoti si jagah arrange karke kar sakten hai or fhir jaise-jaise aapko business se profit ho aap ise badaa sakten hai or ek se adhik fancy store khol sakten hain.

    Ek fancy store main aap ladke ve ladkiyon dono ke liye fancy items rakh sakten hain. Fancy store main hair trimmer, hair removal creams, face creams, any beauty products aadi items sell kar sakten ho.

    7. Book Store/Depo:-

    Badte shiksha ke parchar-parshar ke karan aaj books ki mang teji se badi hain. Aaj ke samye me ye ek business opportunity shabit ho sakti hain.

    Aap kisi school,college/university ke aas-pas apani book shop open kar sakten hain. Kyunki is filled me stationery shop ki bagut jarurat hoti hain.

    Book depo main aap nayi or purani books ko khareed ve bech sakten hain. Aap students se purani books khareed kar jaruratmand bacho ko kam paiso me bech sakten ho. Isme aap class 1 se lekar 12 tak or sath hi sath competition exams ki tayari ke liye bhee bacho ko books provide kar sakten hain. Ye business shalon-shal chalte rahane wala hain or isse aap accha paisa kamaa sakten hain.

     Ye the kuch offline karne wale business ideas jo maine aapke sath shanja kiye hain. Umeed hai ki ye ideas aapko pasand aaye honge or inse aapki kuch madad hui hogi.
    Is post se related koi shujav ho to aap comment karke jarur bataayen.
















    एक टिप्पणी भेजें

    0 टिप्पणियाँ